Imtihan AI 3 FREE Tests Start Karo

11th Class (1st Year) Online Test Preparation

1st year me syllabus lamba aur concept gehre hote hain — ratta yahan kaam nahi karta. Imtihan AI ke chapter-wise timed tests se har chapter ki tayyari alag alag check hoti hai, aur viva verification se pata chalta hai ke concept waqai samajh aaya ya sirf parha hua lag raha tha.

Kaise kaam karta hai?

1. Chapter select karo — apni class aur subject ka chapter chuno.
2. Timed test do — 18 sawal (MCQs, short questions, numericals) bilkul board paper jaisay pattern par, time limit ke saath.
3. Viva verify karo — bol kar jawab do; mic tumhari awaz ko Roman Urdu me likhta hai. Is se pata chalta hai concept samajh aaya ya sirf ratta lagaya.
4. Report dekho — result, viva score, aur parents ke liye WhatsApp report.

Subjects

11th class ke subjects:

PhysicsChemistryBiologyMathComputer ScienceEnglishUrduIslamiatTarjuma-tul-Quran

1st year me aam ghalti

Students poora syllabus parh to lete hain lekin test diye baghair exam me jate hain — phir time management aur concept ki kami number kha jati hai. Hafte me 2–3 timed tests is maslay ka seedha hal hain.

Aam sawalat

Kya Imtihan AI free hai?

Naye students ko 3 tests bilkul FREE milte hain. Us ke baad Rs 500/month par test sessions miltay hain — pehle 500 students ke liye yehi fee lock rahegi.

Test kaise hota hai?

Chapter select karo, phir 18 sawalon ka timed test do — MCQs, short questions aur numericals, bilkul board paper jaisay pattern par. Jawab lock karne par foran sahi/ghalat pata chalta hai.

Viva verification kya hai?

Test ke baad AI tum se sawal poochta hai aur tum bol kar jawab dete ho. Mic tumhari awaz sun kar usay neeche Roman Urdu me likh deta hai. Is se verify hota hai ke concept waqai samajh aaya ya sirf ratta lagaya tha.

Kin subjects ke tests hain?

Physics, Chemistry, Biology, Math, Computer Science, English, Urdu, Islamiat aur Tarjuma-tul-Quran — 9th se 12th class tak.

FSc pre-medical / pre-engineering ke liye helpful hai?

Ji — Physics, Chemistry, Biology aur Math ke chapter-wise tests dono groups ke students ke liye hain. Numericals aur concepts dono cover hote hain.

Abhi FREE Test Shuru Karo →

3 tests bilkul free — koi card nahi, koi jhanjhat nahi